Friday, May 21, 2010
Josh Saheb ki ek yaad
Aaj kal hamare chhote nawab bade Joshile geet gaa rahe hain aur hamein Josh sahab ki yaad aan padi to ek Ghazal aap sabon ki peshe nazar--
Soz e gham De K Mujhe Uss Ne Ye Irshaad Kiya
Ja Tujhe Kash-Ma-Kash-e-Dahar Se Azaad Kiya
Wo Karain Bhi Tou Kin Alfaz Main Tera Shikwa
Jin Ko Teri Nigah-e-Lutf Ne Barbaad Kiya
Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehnay Na Diya
Jab Chali Sard Hawa Maine Tujhe Yaad Kiya
Aisay Main,Main Teray Tajj Takaluf Pe Nisaar
Phir Tou Farmaye Wafa Aap Ne Irshaad Kiya
Iss Ka Rona Nahi Kyun Tumne Kiya Dil Barbaad
Iss Ka Gham Hain Bohat Dair Main Barbaad Kiya
Itna Masoon Hoon Fitrat se, Kali Jab Chatkhi
Jhuk K Maine Kaha, Mujhse Kuch Irshaad Kiya
Meri Har Saans Hai Iss Baat Ki Shahid e Maut
Maine Har Lutf K Mauqay Pe Tujhe yaad Kiya
Mujhko Tou Hosh Nahi Tumko Khabar Ho Shayad
Log Kehtay Hain K Tumne Mujhe Barbaad Kiya
Wo Tujhe Yaad Karay Jisne Bhulaya Ho Kabhi
Humne Tujh Ko Na Bhulaya Na Kabhi Yaad Kiya
Kuch Nahi Iss K siva Josh Hareefon Ka Kalaam
Vasal Ne Shaad Kiya Hijr Ne Nashaad Kiya ..
Monday, May 17, 2010
हर एक चेहरा यहाँ पर गुलाल होता है
हर एक चेहरा यहाँ पर गुलाल होता है
हमारे शहर मैं पत्थर भी लाल होता है
मैं शोहरतों की बुलंदी पर जा नहीं सकता
जहाँ उरूज पर पहुँचो ज़वाल होता है
मैं अपने बच्चों को कुछ भी तो दे नहीं पाया
कभी कभी मुझे खुद भी मलाल होता है
यहीं से अमन की तबलीग रोज़ होती है
यहीं पे रोज़ कबूतर हलाल होता है
मैं अपने आप को सय्यद तो लिख नहीं सकता
अजान देने से कोई बिलाल होता है
पदोसीयों की दुकानें तक नहीं खुल्तीं
किसी का गाँव मैं जब इन्तिकाल होता है
---मुनव्वर राणा
Saturday, May 15, 2010
Ek Bosa
Jab bhi choom leta hoon in haseen aakhon ko
Sau chirag andhere mein jhilmilaane lagte hain,
Phool kya, shagoofe kya, chaand kya, sitaare kya
Sab rakeeb kadmon par sar jhookaane lagte hain
Raks karne lagti hain mooraten ajanta ki
Muddaton ke labbasta gaar gaane lagte hain
Phool khilne lagte hain ujhde ujhde gulshan mein
Pyaasi pyaasi dharti par abar chhaane lagte hain
Lamhe bhar ko yeh duniya zulm chhor deti hai
Lamhe bhar ko sab patthar muskuraane lagte hain
Tuesday, May 11, 2010
सफ़ेद पोश उठे काएँ-काएँ करने लगे
अँधेरे चारों तरफ़ सायं-सायं करने लगे
चिराग़ हाथ उठाकर दुआएँ करने लगे
तरक़्क़ी कर गए बीमारियों के सौदागर
ये सब मरीज़ हैं जो अब दवाएँ करने लगे
लहूलोहान पड़ा था ज़मीं पे इक सूरज
परिन्दे अपने परों से हवाएँ करने लगे
ज़मीं पे आ गए आँखों से टूट कर आँसू
बुरी ख़बर है फ़रिश्ते ख़ताएँ करने लगे
झुलस रहे हैं यहाँ छाँव बाँटने वाले
वो धूप है कि शजर इलतिजाएँ करने लगे
अजीब रंग था मजलिस का, ख़ूब महफ़िल थी
सफ़ेद पोश उठे काएँ-काएँ करने लगे
Monday, May 10, 2010
अब मै सूरज को नही डूबने दूंगा
अब मै सूरज को नही डूबने दूंगा
देखो मैने कंधे चौडे कर लिये हैं
मुट्ठियाँ मजबूत कर ली हैं
और ढलान पर एडियाँ जमाकर
खडा होना मैने सीख लिया है
घबराओ मत
मै क्षितिज पर जा रहा हूँ
सूरज ठीक जब पहाडी से लुढकने लगेगा
मै कंधे अडा दूंगा
देखना वह वहीं ठहरा होगा
अब मै सूरज को नही डूबने दूंगा
मैने सुना है उसके रथ मे तुम हो
तुम्हे मै उतार लाना चाहता हूं
तुम जो स्वाधीनता की प्रतिमा हो
तुम जो साहस की मुर्ति हो
तुम जो धरती का सुख हो
तुम जो कालातीत प्यार हो
तुम जो मेरी धमनी का प्रवाह हो
तुम जो मेरी चेतना का विस्तार हो
तुम्हे मै उस रथ से उतार लाना चाहता हूं
रथ के घोडे
आग उगलते रहें
अब पहिये टस से मस नही होंगे
मैने अपने कंधे चौडे कर लिये है।
कौन रोकेगा तुम्हें
मैने धरती बडी कर ली है
अन्न की सुनहरी बालियों से
मै तुम्हे सजाऊँगा
मैने सीना खोल लिया है
प्यार के गीतो मे मै तुम्हे गाऊंगा
मैने दृष्टि बडी कर ली है
हर आखों मे तुम्हे सपनों सा फहराऊंगा
सूरज जायेगा भी तो कहाँ
उसे यहीं रहना होगा
यहीं हमारी सांसों मे
हमारी रगों मे
हमारे संकल्पों मे
हमारे रतजगो मे
तुम उदास मत होओ
अब मै किसी भी सूरज को
नही डूबने दूंगा
Brahma Vidya - Vihangam Yoga:
Brahma Vidya - Vihangam Yoga:
Yoga and its benefits are transforming millions of lives today. Most of us are interested in Yoga but adding yet another activity into our busy and often hectic schedule always seems to be a secondary thought. Appreciating time restrictions in our mundane life, a quick and short meditation technique called Vihangam Yoga was revived by His Holiness Sadguru Sadafaldeo Ji Maharaj in 1924 hundreds of years ago. Vihangam Yoga is an ancient meditation technique, which has been continuously practiced by sages and seers.
The word Vihangam means a bird, and just as a bird leaves its base on the earth to fly high in the sky, so does Vihangam Yoga enable the human soul to cut off its moorings in the phenomenal world and realize its true and free nature. This yoga has been named as: Brahmavidya, Paravidya, Madhuvidya, Adhyatmavidya, Sahaj yoga the knowledge of realizing the supreme soul. The secret knowledge of this universe is gained through Vihangam Yoga. By practicing techniques of Vihangam Yoga one learns about the natural and spiritual world.
Ishq
ishq aazaad hai, hindu na musalmaan hai ishq
aap hi dharm hai, aur aap hi imaan hai ishq
Allah aur Rasool ka farmaan ishq hai
yaani Hadees ishq hai, Quraan ishq hai
Gautam ka aur Maseeh ka armaan ishq hai
Ye qaaynaat jism hai, aur jaan ishq hai
ishq Sarmad, Ishq hi Mansoor hai
ishq Moosaa, Ishq Koh-e-toor hai
khaq ko but, aur but ko devtaa kartaa ishq
intehaa ye hai ke banday ko Khudaa kartaa hai ishq!
PITA-PUTRA
PITA-PUTRA
subah ke dhundhalke me,
ap mujhe tab tak jaga hua dekh ke
thithak jaate hain,par kuch kehte nahi,
usi khamoshi se aage badh jaate hain.
hum kabhi bahut kareeb nahi rahe,
na jaane kitne saalon se,
jab bhi main ghar aata tha,aap aise hi,
mujhe duur se dekhte rahe,
rukte,aur fir khamoshi se badh jaate.
shayad kuch baate jubaan pe aake ruk jaati [...]
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay use Bazar diya
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay use Bazar diya
Jabb jee chaha massla kouchla, Jabb jee chaha dhoutkaar diya
Toulti hai kahin Dinaaron mein, Bikti hai kahin Bazaron mein
Nanngi Nachwaai jaati hai, Aaiyaashon kay Darbaaron mein
Ye wo bayizzat cheez hai, jo butt jaati hai Izzatdaaron mein
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya
Mardoun ky liy herr Zulaam rawa, Aurat ke liy rona b khata
Mardoun ky liy herr Aaish ka haqq, Aurat ky liy Jeena b saza
Mardoun ke liy Lakhhon saijain, Aurat ke liy sirf aik chitta
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya
Jin seenon nay oun ko Doudh diya, Oun seenon ka bay o paar kiya
Jis kokhh mein oun ka jism dhala, Ous kokhh ka kaarbaar kiya
Jis tann se ougay konpall bann ke, Ous tann ko zaleel-o-khar kiya
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya
Sansaar ki herr ik besharmi, Ghoubatt ki ghoud mein paltti hai
Chaklon hi mein aa kar roukti hai, Faaqon se jo raah niklti hai
Mardoun ki Hawas hai jo, Aksar Aurat ke paap mein dhalti hai
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya
Aurat sannsaar ki qismat hai, Phir b taqdeer ki peeti hai
Aaotaar Paeghamber jantti hai, Phir b Shaitaan ki beti hai
Ye wo baddqismat Maan hai jo, Baiton ki saij pe leti hai
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya.
सत्यमेव जयते
सत्यमेव जयते
Satyameva Jayate - Truth alone triumphs
The origin of the motto is a well-known mantra 3.1.6 from the Mundaka Upanishad [1]. Full mantra as follows.
सत्यमेव जयते नानृतम् सत्येन पन्था विततो देवयानः ।
येनाऽऽक्रमन्त्यृषयो ह्याप्तकामा यत्र तत् सत्यस्य परं निधानं ॥
Truth alone triumphs; not falsehood.
Through truth the divine path is spread out by which
the sages whose desires have been completely fulfilled,
reach where that supreme treasure of Truth resides
उठा नहीं है अभी यकीं ख़ुदा का ज़िन्दगी से!
Main prem karta hoon..
Mere chhote bete( Desh Ratna) ne ek baar mere ye poochne par ki tum kya karte ho?
to jawab me jo kaha tha wo yahan aap sabon se share kar raha hoon----
"Main prem karta hoon un tamam logon se jo
es istehaari duniya mein bhid ka hissa nahin hain,
Main prem karta hoon un tamam logon se jo
dhara ke viprit tairane ka sahas rakhte hai,
Main prem karta hoon un tamam logon se jinhen
Julie ke nritya se pehle coolie ki pida dikhti hai,
Aur main prem karta hoon un sabse jinhen apne hone ka yakeen hai.
Main prem karta hoon Babuji"
Aur fir mujhe kabhi usse wo prashna poochhne ki aawyashakta naheen hui---
Subscribe to:
Posts (Atom)