Friday, May 21, 2010

Josh Saheb ki ek yaad



Aaj kal hamare chhote nawab bade Joshile geet gaa rahe hain aur hamein Josh sahab ki yaad aan padi to ek Ghazal aap sabon ki peshe nazar--


Soz e gham De K Mujhe Uss Ne Ye Irshaad Kiya
Ja Tujhe Kash-Ma-Kash-e-Dahar Se Azaad Kiya


Wo Karain Bhi Tou Kin Alfaz Main Tera Shikwa
Jin Ko Teri Nigah-e-Lutf Ne Barbaad Kiya


Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehnay Na Diya
Jab Chali Sard Hawa Maine Tujhe Yaad Kiya


Aisay Main,Main Teray Tajj Takaluf Pe Nisaar
Phir Tou Farmaye Wafa Aap Ne Irshaad Kiya


Iss Ka Rona Nahi Kyun Tumne Kiya Dil Barbaad
Iss Ka Gham Hain Bohat Dair Main Barbaad Kiya


Itna Masoon Hoon Fitrat se, Kali Jab Chatkhi
Jhuk K Maine Kaha, Mujhse Kuch Irshaad Kiya


Meri Har Saans Hai Iss Baat Ki Shahid e Maut
Maine Har Lutf K Mauqay Pe Tujhe yaad Kiya


Mujhko Tou Hosh Nahi Tumko Khabar Ho Shayad
Log Kehtay Hain K Tumne Mujhe Barbaad Kiya


Wo Tujhe Yaad Karay Jisne Bhulaya Ho Kabhi
Humne Tujh Ko Na Bhulaya Na Kabhi Yaad Kiya


Kuch Nahi Iss K siva Josh Hareefon Ka Kalaam
Vasal Ne Shaad Kiya Hijr Ne Nashaad Kiya ..

No comments:

Post a Comment