Monday, May 10, 2010
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay use Bazar diya
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay use Bazar diya
Jabb jee chaha massla kouchla, Jabb jee chaha dhoutkaar diya
Toulti hai kahin Dinaaron mein, Bikti hai kahin Bazaron mein
Nanngi Nachwaai jaati hai, Aaiyaashon kay Darbaaron mein
Ye wo bayizzat cheez hai, jo butt jaati hai Izzatdaaron mein
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya
Mardoun ky liy herr Zulaam rawa, Aurat ke liy rona b khata
Mardoun ky liy herr Aaish ka haqq, Aurat ky liy Jeena b saza
Mardoun ke liy Lakhhon saijain, Aurat ke liy sirf aik chitta
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya
Jin seenon nay oun ko Doudh diya, Oun seenon ka bay o paar kiya
Jis kokhh mein oun ka jism dhala, Ous kokhh ka kaarbaar kiya
Jis tann se ougay konpall bann ke, Ous tann ko zaleel-o-khar kiya
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya
Sansaar ki herr ik besharmi, Ghoubatt ki ghoud mein paltti hai
Chaklon hi mein aa kar roukti hai, Faaqon se jo raah niklti hai
Mardoun ki Hawas hai jo, Aksar Aurat ke paap mein dhalti hai
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya
Aurat sannsaar ki qismat hai, Phir b taqdeer ki peeti hai
Aaotaar Paeghamber jantti hai, Phir b Shaitaan ki beti hai
Ye wo baddqismat Maan hai jo, Baiton ki saij pe leti hai
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment